Safdar Siddiq Razi

ghurub hote hue do sitare aankhon mein

Safdar Siddiq Razi

1949
ġhurūb hote hue do sitāre āñkhoñ meñ
shikast-e-ḳhvāb ke haiñ isti.āre āñkhoñ meñ
phir us ke ba.ad kisī bhī palak amaañ na milī
vo roz-o-shab ki jo ham ne guzāre āñkhoñ meñ
ham āḳhir-e-shab-e-ummīd so bhī jaa.eñ magar
vo ḳhvāb-e-gum-shudgāñ kaun utāre āñkhoñ meñ
is ehtimām se rote haiñ tere dil-zadagāñ
ki bāhar āñkhoñ se dariyā kināre āñkhoñ meñ
ham apne chehre pe apnā hī dukh nahīñ rakhte
sab ahl-e-hijr ke haiñ goshvāre āñkhoñ meñ
vo kushtagān-e-pas-o-pesh an-kahe alfāz
jo bach ga.e the so vo bhī sidhāre āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com