jis vaqt āñkheñ ḳhvāb ā.īna dil hotā hai
sher nahīñ likkhā jaatā nāzil hotā hai
tanhā kyuuñ chalte ho kisī ke saath chalo to
ik rasta aisā hai jo manzil hotā hai
aur kisī ke haath pe ham bai.at na kareñge
dariyā sirf samundar meñ shāmil hotā hai
zinda rahnā sahal bahut hai lekin insāñ
jaañ se guzar jaa.e to is qābil hotā hai
har shai naf.a nahīñ har chiiz ḳhasāra nahīñ hai
kuchh khoyā jaatā hai kuchh hāsil hotā hai