kisī ke haath par tahrīr honā
mirā bhī sāhab-e-taqdīr honā
faqat ik ḳhvāb ho kar rah gayā hai
adhūre ḳhvāb kī ta.abīr honā
nikalnā ruuh kī gahrā.ī se aur
duā kā hāmil-e-tāsīr honā
ye honā to hai lekin kab ye hogā
qabā-e-zar kā līr-o-līr honā
hisār-e-zabt se bāhar thā vo ashk
jise thā dard kī tafsīr honā
'shafīq' āḳhir hai is pāra-sifat ko
kisī ke sāmne tasvīr honā