Shafiq Saleemi

ab ja kar ehsas hua hai pyar bhi karna tha

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
ab jā kar ehsās huā hai pyaar bhī karnā thā
pyaar jo karnā thā us kā iz.hār bhī karnā thā
avval avval kashtī-e-jāñ ġharqāb bhī honā thī
āḳhir āḳhir sāñsoñ ko patvār bhī karnā thā
sab kuchh paanā bhī thā ham ko sab kuchh khonā bhī
jiit bhī jaanā thā phir jiit ko haar bhī karnā thā
sahrāoñ kī ḳhaak uḌāte andhe rastoñ se
dariyā tak bhī aanā dariyā paar bhī karnā thā
ik ujḌā vīrān sā manzar dekh ke bāhar kā
apne hāthoñ har dar ko dīvār bhī karnā thā
narm mulā.em chehre gahrī niilī ā.ankhoñ vaale
tujh jaise be-mehr ko apnā yaar bhī karnā thā
Top Urdushayar.com