Shafiq Saleemi

kunj-e-tanhai basae hijr ki lazzat mein hun

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
kunj-e-tanhā.ī basā.e hijr kī lazzat meñ huuñ
sab se dāman jhaaḌ kar bas ik tirī chāhat meñ huuñ
kaun sā saudā hai sar meñ kis ke qaabū meñ hai dil
har qadam sahrāoñ meñ hai har ghaḌī vahshat meñ huuñ
maiñ anāoñ kā thā parvarda to phir dast-e-savāl
kis tarah phailā kisī ke sāmne hairat meñ huuñ
ye bhī kyā bechārgī hai kāġhzī shādābiyāñ
apne chehre par sajā.e hajla-e-ġhairat meñ huuñ
ek ḳhvāhish ke hazāroñ rañg umr-e-muḳhtasar
kuchh bhī kar paatā nahīñ maiñ is qadar ujlat meñ huuñ
ai mire ghar! ab to mujh ko khīñch le apnī taraf
aur kitnī der maiñ is arsa-e-hijrat meñ huuñ
Top Urdushayar.com