Shafiq Saleemi

tez aandhi ne faqat ek saeban rahne diya

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
tez āñdhī ne faqat ik sā.ebāñ rahne diyā
ham zamīñ-zādoñ ke sar par āsmāñ rahne diyā
lafz vo barte ki saarī baat mub.ham ho ga.ī
ik parda thā ki haa.el darmiyāñ rahne diyā
aañkh bastī ne sabhī mausam musāfir kar diye
ek ashkoñ kī ravānī kā samāñ rahne diyā
ḳhuun kī surḳhī añdheroñ meñ ujālā ban ga.ī
ham ne har sūrat charāġhoñ ko javāñ rahne diyā
sad-kamāl-e-mehrbānī pāniyoñ ne is daf.a
kāġhzī kashtī ko lahroñ par ravāñ rahne diyā
laakh koshish par bhī ghar ko ghar na kar paa.e 'shafīq'
aur phir ham ne makāñ ko bas makāñ rahne diyā
Top Urdushayar.com