tiir ḳhatm haiñ to kyā haath meñ kamāñ rakhnā
is muhīb jañgal meñ hausla javāñ rakhnā
kyā patā havā.eñ kab mehrbān ho jaa.eñ
pāniyoñ meñ jab utro saath bādbāñ rakhnā
ranjisheñ bhulā denā fāsle miTā denā
ik mahīn sā parda phir bhī darmiyāñ rakhnā
ham bhī hoñT sī leñge jī sake to jī leñge
kyā koī zarūrī hai boltī zabāñ rakhnā
ye ghaḌī to aa.ī thī yuuñ hī sargirānī thī
ab fuzūl lagtā hai koī sā.ebāñ rakhnā
lahr lahr bikhrī hai qahr qahr dariyā meñ
be-javāz lagtā hai sa.ī-e-rā.egāñ rakhnā
dūsroñ kī zid huuñ maiñ kitnā munfarid huuñ maiñ
ye bhī kyā ki sab jaisā sar pe āsmāñ rakhnā