dekh kar us ko mujhe dhachkā lagā
misl-e-dariyā thā magar pyāsā lagā
nafratoñ kī dhund meñ lipTā lagā
aa.ine kā naqsh bhī jhūTā lagā
saḳht-jāñ the bach ga.e is baar bhī
zaḳhm ab ke bhī hameñ gahrā lagā
puure qad se īstāda jab hue
shahr kā har shaḳhs phir baunā lagā
kis kī chhāñv sā.ebāñ karte 'shafīq'
har shajar par ḳhauf kā saaya lagā