sāhab-e-zar na sahī sāhab-e-izzat haiñ abhī
aur ik sañg-e-malāmat ki salāmat haiñ abhī
yuuñ to be-qufl haiñ lab aur sadā.eñ āzād
phir bhī alfāz ki mahrūm-e-samā.at haiñ abhī
pur ta.assur thī bahut un kī ḳhitābat lekin
chand bāteñ haiñ ki marhūn-e-vazāhat haiñ abhī
sach ke ḳheme meñ raheñ jhuuT kī bai.at kar leñ
kitne hī log ki pāband-e-rivāyat haiñ abhī