Shafiq Saleemi

sari tabiren hain uski sare KHwab uske liye

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
saarī ta.abīreñ haiñ us kī saare ḳhvāb us ke liye
har savāl us ke liye hai har javāb us ke liye
hijr ke lamhe shumāreñ yā lakīreñ harf ham
har hisāb us ke liye hai har kitāb us ke liye
qurb us kā hai hamārī vāpsī kā muntazir
jhelte haiñ ham bhī duurī kā azaab us ke liye
vo hamāre vāste rahtā hai har dam muztarib
ham bhī haiñ aa.e hue zer-e-itāb us ke liye
us ke har dukh kā mudāvā apne bas meñ bhī nahīñ
ashk-e-ḳhūñ us ke liye haiñ dil kabāb us ke liye
man kī har ḳhvāhish ko vaarā us kī chāhat par 'shafīq'
khil rahe haiñ tan pe zaḳhmoñ ke gulāb us ke liye
Top Urdushayar.com