raas aayā nahīñ ham ko tirā aate rahnā
yuuñ tirā barsoñ talak va.ada nibhāte rahnā
tū ne ye jaanā na ādāb-e-mohabbat kyā hai
har mulāqāt pe milne tirā aate rahnā
rā.egāñ ho gayā vo gaanā tirā raag basant
mausam-e-ḳhār meñ phūloñ ko ugāte rahnā
ik sadā terī bhī shāmil thī hujūm-e-tiflāñ
har sahar chhajje pe mujh ko bhī bulāte rahnā
jāntā to nahīñ kāñTe to mire dil meñ chubhe
phuul terā mirī rāhoñ meñ bichhāte rahnā
hai ye be-qufl qafas par vo parinda na uḌā
qissa-e-ishq tirā us ko sunāte rahnā
tere jaisā bhī hai ik shaḳhs zamāne bhar meñ
kab talak majnūñ aur rāñjhoñ ko gināte rahnā
raakh jab maiñ ne kuredī to kahe chiñgārī
kaam tum jaisoñ kā hai duniyā jalāte rahnā
rū-ba-rū aa.ine ke roz maiñ aa.uuñ kaise
kitnā mushkil hai nazar ḳhud se milāte rahnā