be-nām dayāroñ kā safar kaisā lagā hai
ab lauT ke aa.e ho to ghar kaisā lagā hai
kaisā thā vahāñ garm do-pahroñ kā jhulasnā
barsāt-rutoñ kā ye nagar kaisā lagā hai
din meñ bhī dahal jaatā huuñ ābād gharoñ se
saayā sā mire saath ye Dar kaisā lagā hai
hoñToñ pe laraztī huī ḳhāmosh sadā kā
āñkhoñ ke darīchoñ se guzar kaisā lagā hai
āñgan meñ lagāyā thā shajar chaao se maiñ ne
phalne pe jo aayā to samar kaisā lagā hai