Shafiq Saleemi

baja ki har koi apni hi ahmiyat chahe

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
bajā ki har koī apnī hī ahmiyat chāhe
magar vo shaḳhs to ham se musāhibat chāhe
guzar rahe haiñ ajab jāñ-kanī meñ roz-o-shab
ki ruuh qarya-e-tan se muhājrat chāhe
kamāñ meñ tiir chaḌhā ho to be-amāñ taa.ir
salāmtī ko koī kunj-e-āfiyat chāhe
nikal paḌe haiñ gharoñ se to sochnā kaisā
ab aa.e rah meñ azāboñ kī saltanat chāhe
anā ke hāthoñ huā hai 'shafīq' jo bhī huā
magar ye dil ki abhī tak mufāhamat chāhe
Top Urdushayar.com