Tik ke baiThe kahāñ bezār-tabī.at ham se
chhīn hī le na koī aa ke ye ne.amat ham se
bar-sar-e-ām ye kahte haiñ ki ham jhūTe haiñ
is bhare shahar meñ zinda hai sadāqat ham se
ham jo mazlūm haiñ ik tarah se zālim haiñ ham
har sitamgār ke baazū meñ hai tāqat ham se
dekh paa.e na to āñkheñ hī bujhā liiñ ham ne
aur kyā chāhtā hai lafz-e-sharāfat ham se
har ghaḌī sar ko hathelī pe sajā.e rakhnā
garmī-e-raunaq-e-bāzār halākat ham se
ya.anī qātil ke liye rahm kā jazba mafqūd
is se baḌh kar nahīñ ho saktī adāvat ham se
ham zamīñ-zād falak-zād nahīñ haiñ phir bhī
fan kī me.arāj pe hai lafz kī hurmat ham se