Shafiq Saleemi

in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
in balā kī āñdhiyoñ meñ ik shajar baaqī rahe
fāḳhtāoñ ke liye koī to ghar baaqī rahe
ek taara ek dīpak ek jugnū hī sahī
raat kī dīvār meñ koī to dar baaqī rahe
chāñd kī kashtī tah-e-dariyā huī thī jis jagah
kuchh nishāñ baaqī rahe koī bhañvar baaqī rahe
jaane vaale ko kabhī bhī lauT kar aanā nahīñ
lauT aane kī bahar-sūrat ḳhabar baaqī rahe
sard mausam meñ uThā kar haath ye māñgeñ duā
tan meñ jaañ baaqī rahe jaañ meñ sharar baaqī rahe
raah meñ thak kar kahīñ par baiTh mat jaanā 'shafīq'
ghar kī jānib vāpsī kā ik safar baaqī rahe
Top Urdushayar.com