Shafiq Saleemi

KHalq-e-KHuda hai shah ki muKHbar lagi hui

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
ḳhalq-e-ḳhudā hai shaah kī muḳhbar lagī huī
ḳhāmoshiyoñ kī bhiiḌ hai ghar-ghar lagī huī
sañg o sag o sadā sabhī pīchhe paḌe hue
ik dauḌ sī hai ham meñ barābar lagī huī
sad ehtimām-e-girya bhī aayā na apne kaam
bujhtī nahīñ hai aag sī andar lagī huī
aao ki mutma.in kareñ apne zamīr ko
mohar-e-sukūt toḌ deñ lab par lagī huī
lāzim hai ehtiyāt faqīhān-e-sheher ko
har ik nazar hai ab sar-e-mimbar lagī huī
muddat ke ba.ad aa.e to rūThī huī sī thī
taḳhtī hamāre naam kī dar par lagī huī
uḌtī rahī kuchh is tarah rusvā.iyoñ kī ḳhaak
jaise 'shafīq' baat koī par lagī huī
Top Urdushayar.com