Shafiq Saleemi

ganw rafta rafta bante jate hain ab shahr

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
gaañv rafta rafta bante jaate haiñ ab shahr
qarya qarya phail rahā hai tanhā.ī kā zahr
mujh ko Dastā rahtā hai bas har dam yahī ḳhayāl
ek hī ruḳh par kyuuñ bahtā hai dariyā āThoñ pahr
kaun sā bhūlā-bisrā ġham thā jo aayā hai yaad
rah rah kar phir dil meñ uTThe dard kī mīThī lahar
merā jiite rahnā bhī to ban gayā ek azaab
lekin merā marnā bhī to ho jā.egā qahr
lagtā hai kuchh anhonī sī hone vaalī hai
darham-barham hone ko hai jaise nizām-e-dahr
Top Urdushayar.com