Shafiq Saleemi

rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
rukūñ to ruktā hai chalne pe saath chaltā hai
magar giraft meñ aatā nahīñ ki saaya hai
jhulas rahe haiñ badan dhuup kī tamāzat se
ki raat bhar baḌe zoroñ kā abr barsā hai
abhī to kal kī thakan jism se nahīñ niklī
sitam ki aaj kā din bhī pahāḌ jaisā hai
samajh rahe the jise ek mehrbāñ bādal
vo aag ban ke harī ketiyoñ pe barsā hai
vo ek shaḳhs jise aaj tak nahīñ dekhā
ḳhayāl-o-fikr pe us shaḳhs kā ijāra hai
dabīz pardoñ ke pīchhe na jhāñkiye ki vahāñ
ga.e dinoñ ko nishānī banā ke rakkhā hai
'shafīq' DhūñDne nikle the ghar se ham jis ko
vo kirchiyoñ kī tarah rāstoñ meñ bikhrā hai
Top Urdushayar.com