Divya Jain

tha sharik-e-bazm-e-gham main ham-nawan koi nahin

Divya Jain

Bina, Madhya Pradesh, India

1969
thā sharīk-e-bazm-e-ġham maiñ ham-navāñ koī nahīñ
dard-e-dil ko harf karne kā bayāñ koī nahīñ
thā ḳhalāoñ meñ bhaTaknā tanhā hī jis kā nasīb
thā na chanda sañg apne kahkashāñ koī nahīñ
rañg bhar do yuuñ ki phaile bin dhanak jism-e-ufuq
ḳhvāboñ kī tasvīr se baḌh ke zabāñ koī nahīñ
kitne dīvāroñ meñ kho.e dard-o-ġham ke zalzale
aahoñ se jo Dah gayā aisā makāñ koī nahīñ
mil ke bas vo pal do pal apne hī ghar ko lauTā hai
aa.e jo basne zamīñ par āsmāñ koī nahīñ
dekhtā hai har kalī ko vo bikhartā bār-bār
gul ugānā chhoḌtā par bāġhbāñ koī nahīñ
ḳhaak kar degā ġhubār-e-vaqt terā ye vajūd
jo ruke tere liye vo kārvāñ koī nahīñ
Top Urdushayar.com