Shafiq Saleemi

ek pal bhi mere haal se ghafil nahin Thahra

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
ik pal bhī mire haal se ġhāfil nahīñ Thahrā
kyuuñ phir vo mire dard meñ shāmil nahīñ Thahrā
hālāt ke paale hue ifrīt ke hāthoñ
siine meñ kabhī saañs kabhī dil nahīñ Thahrā
har ḳhvāhish-e-jāñ maar ke sab rāhateñ taj ke
juz mere koī ġham ke muqābil nahīñ Thahrā
jis shaḳhs ko aatā thā hunar nauhagarī kā
vo shaḳhs bhī ab ke lab-e-sāhil nahīñ Thahrā
kuchh is ke sivā aur bhī ilzām bahut the
kab muntazir-e-ḳhanjar-e-qātil nahīñ Thahrā
Top Urdushayar.com