be-nām dayāroñ se ham log bhī ho aa.e
kuchh dard the chun laa.e kuchh ashk the ro aa.e
kuchh paas na thā apne bas aas liye ghūme
ik umr kī pūñjī thī so us ko bhī kho aa.e
tauhīn-e-anā bhī kī tahsīn-e-riyā bhī kī
ye bojh bhī Dhonā thā ye bojh bhī Dho aa.e
ik kār-e-numū barsoñ karte rahe bin soche
ham biij mohabbat ke sahrāoñ meñ bo aa.e
pahchān kā har manzar anjān huā āḳhir
lagtā hai ka.ī sadiyāñ ik ġhaar meñ so aa.e