Shafiq Saleemi

sawal karta nahin aur jawab uski talab

Shafiq Saleemi

Amritsar, Punjab, India

1942
savāl kartā nahīñ aur javāb us kī talab
ki an-kahī kā bhī dohra azaab us kī talab
zamīn-e-shor se koñpal numū kī māñgtā hai
nihāl-e-ḳhushk se taaza gulāb us kī talab
vo aañkh khulne kā bhī intizār kartā nahīñ
darūn-e-ḳhvāb hī tābīr-e-ḳhvāb us kī talab
visāl-rut kā har ik lamha us ke naam kiyā
magar hai guzre dinoñ kā hisāb us kī talab
'shafīq' din kā ujālā tū paḌh nahīñ saktā
pas-e-ġhurūb bhī ik āftāb us kī talab
Top Urdushayar.com