Syed Fazlul Mateen

aankhon ko chamak chehre ko ek aab to dije

Syed Fazlul Mateen

āñkhoñ ko chamak chehre ko ik aab to diije
jhūTā hī sahī aap koī ḳhvāb to diije
ham sañg-e-girāñ haiñ ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ kyā haiñ
ma.alūm ho pahle koī sailāb to diije
ham jām-ba-kaf baiThe raheñ aur kahāñ tak
taqdīr meñ amrit nahīñ zahrāb to diije
ham ko bhī hai ye shauq ki Dūbeñ kabhī ubhreñ
ho gardish-e-ayyām kā girdāb to diije
mad.hosh na kar deñ jo zamāne ko to kahnā
hāthoñ meñ hamāre koī mizrāb to diije
marne kī havas hai hameñ dīvāne hue haiñ
jiine ke agar paas hoñ ādāb to diije
vīrānoñ ko gulshan hī banā.eñge 'matīn' ham
khilne zarā ik ġhuncha-e-shādāb to diije
Top Urdushayar.com