khaḌkhaḌātā ek patta jab girā ik peḌ se
sote gahrī niiñd panchhī phaḌphaḌā kar uḌ chale
jal-bujhī yādoñ ne jab ā.ankhoñ meñ ik añgḌā.ī lī
adh-jale kāġhaz pe piile harf raushan ho ga.e
biin jab bajne lagī soyā madan bhī jaag uThā
zahr lahrāne lagā ḳhvāboñ meñ har ik saañp ke
lamha lamha TuuT kar bahne lagī muddat kī niiñd
rafta rafta ik haqīqat ḳhvāb jab banñe lage
log bāzīgar bane bāzār meñ aa.e magar
khel vo khelā ki ḳhud hī ik tamāshā ban ga.e
kuchh nahīñ haiñ ham 'matīn' ab yād-e-rafta ke sivā
aaj se pahle the be-shak aadmī ham kaam ke