hamāre ḳhvāb kuchh in.ikās lagtā hai
ye aadmī to hameñ rū-shanās lagtā hai
guzārishāt bhī baa.is thiiñ barhamī kā kabhī
ab us kā hukm bhī ik iltimās lagtā hai
jo apne naam se tahrīr us ne bhejī hai
hamāre ḳhat kā koī iqtibās lagtā hai
bilā-sabab ye kare bad-gumān kyuuñ āḳhir
durust! nāseh! qayāfa-shanās lagtā hai
vo ham se tark-e-ta.alluq pe ab hai āmāda
hameñ to aap kā ye ik qayās lagtā hai
ḳhudā kare ki hameñ vo duā na koī de
hameñ to kosnā hī us kā raas lagtā hai
tarāsheñ pairahan ab kuchh na.ī zamīnoñ meñ
darīda sher kā pichhlā libās lagtā hai
ye daur kaisā hai jis shaḳhs se bhī milnā ho
pareshāñ-hāl shikasta udaas lagtā hai
batā.eñ aap ko kyā hai 'matīn' kī pahchān
sarāpā dard hai tasvīr-e-yās lagtā hai