phir zabāñ pe vahī bhūlā sā fasāna aayā
yaad vo be-ḳhudī kā phir se zamāna aayā
lete añgḌā.ī haiñ ġham zaḳhm lage haiñ risne
yaad jab bhūlā huā dost purānā aayā
vo Thahartā hai kahāñ laakh bulā.e koī
lauT ke vaqt ko to thā nahīñ aanā aayā
zulf ziddī jo jabīñ ko mirī chhūkar guzrī
abr ko yaad koī va.ada nibhānā aayā
tītarī sañg ye dil aaj jo āvāra hai
lauT ke vaqt vo bachpan kā suhānā aayā
charchā mahfil meñ jo phir aaj merī thī niklī
har galī-kūche se phir merā dīvāna aayā
kar liyā va.ada lo phir us ne jo milne kā phir
dekhnā kal nayā kyā yaad bahāna aayā