jo baat kahnī hai mujh ko vo kahne vaalā huuñ
kisī ke ḳhauf se kab chup maiñ rahne vaalā huuñ
kahāñ kahāñ mujhe rokoge band bhāñdhoge
maiñ chaḌhtā dariyā huuñ har samt bahne vaalā huuñ
tumhāre chāhne vāloñ se maiñ bhī vāqif huuñ
tumhārā dard maiñ tanhā hī sahne vaalā huuñ
mirī bhī baat suno merī shakl pahchāno
tumhāre shahr kā ik maiñ bhī rahne vaalā huuñ
har ek shaḳhs nadāmat se sar-nigūñ hogā
baḌe salīqe se vo baat kahne vaalā huuñ
zamāna koī sazā de ki kah de dīvāna
'matīn' maiñ kahāñ ḳhāmosh rahne vaalā huuñ