chhuTTī kā din hai chāhiye jaise guzāriye
murġhā laḌā.iye ki kabūtar uḌā.iye
saḌkoñ pe ghūmne se tabī.at ho jab uchāT
hotel meñ baiTh jā.iye qisse sunā.iye
khā khā ke paan phūñkiye cigarette nau-ba-nau
peshavarān-e-shahr se peñgeñ baḌhā.iye
afsar ko diije ghar pe bulā dāvat-e-nigāh
daftar meñ jā ke ro.ab phir apnā jamā.iye
rishvat ke dam-qadam se salāmat hai zindagī
dil khol kar tamām hī ḳhushiyāñ manā.iye
har vaqt ghar meñ baiThne se fā.eda 'matīn'
chal phir ke zindagī ke tajarbe uThā.iye