ajab hī haal thā āvāz kā to
ye mar jaatī agar maiñ boltā to
mirā saaya nahīñ baḌhtā hai aage
ye kahtā hai agar maiñ gir gayā to
maiñ jaisā thā mirī tasvīr meñ kal
tumheñ vaisā agar maiñ na milā to
tumhāre tabsire se tañg aa kar
hamāre haal ne kuchh kar liyā to
dabā kar to rakhūñgā raaz tere
mujhe phir bhī kisī ne paḌh liyā to
tumheñ bechainiyāñ hī maar deñgī
agar maiñ hañs ke thoḌā mil liyā to
nahīñ rah pāoge phir tum vahāñ par
kaleja kaaT kar kuchh likh diyā to
miTā doge mujhe tum jāntā huuñ
magar socho agar maiñ bach gayā to
nikal paḌte ho tum yuuñ saj-sañvar ke
kabhī sochā mujhe kuchh ho gayā to
ba-zāhir jañg hogī hādsoñ kī
agar maiñ beach meñ se haT gayā to