Sawan Shukla

sar-ba-sar badla hua dekha tha kal yar ka rang

Sawan Shukla

Ajmer, Rajasthan, India

1985
sar-ba-sar badlā huā dekhā thā kal yaar kā rañg
ḳhuub pahnā hai nayā us ne bhī is baar kā rañg
sūkhe pattoñ kī tarah uḌtā huā duur talak
maiñ ne jaate hue dekhā mire kirdār kā rañg
ab jo aayā huuñ to ḳhāmosh to jā.ūñgā nahīñ
ab uḌā kar ke hī jā.ūñgā maiñ do chaar kā rañg
koī kah de ki jhukā do to jhukā duuñ maiñ sar
itnā kachchā bhī nahīñ hai mirī dastār kā rañg
koī pūchhegā to ab khul ke batā saktā huuñ
mere dildār sā hotā hai jī dildār kā rañg
bāñdh kar maiñ ne badan yaad ke dhāgoñ se kabhī
muddatoñ rusvā kiyā rūh-e-talabgār kā rañg
aur phir lauT ke vāpas hī nahīñ jā paa.e
dekhne aa.e the ham bhī kabhī is paar kā rañg
lauT to aa.ī hai sāhil pe magar ḳhauf meñ hai
kashtī kī aañkh se utrā nahīñ mañjhdār kā rañg
chāragar ḳhud hai pareshān ke 'sāvan' kaise
badlā bīmār ne bīmār se bīmār kā rañg
Top Urdushayar.com