Sawan Shukla

tum samajh lete gar pareshani

Sawan Shukla

Ajmer, Rajasthan, India

1985
tum samajh lete gar pareshānī
ham ko ho jaatī thoḌī āsānī
kaisā maarā thā us ne harfoñ ko
lafz bhāge uThā uThā ma.anī
aap kī baat ko raqam kar ke
ham ne paanī pe likh diyā paanī
koī pāgal hai aa ke pūchhegā
aap se aap kī pareshānī
Daal do kuchh havāoñ ke sar pe
itnī achchhī nahīñ hai uryānī
ham ko aanā hai beach meñ un ke
baat bilkul bigaḌ ga.ī ya.anī
merī duniyā ko lūTne vaalī
aag lag jaa.e tujh ko mar jaanī
aur kuchh din guzarne de mere
dhuul chāTegī terī tābānī
DhūñDhtī hai nigāh bhagdaḌ meñ
koī sūrat ho jānī-pahchānī
jis ko laanā hai le ke aa jaanā
ham khaḌe haiñ le dushman-e-jānī
Top Urdushayar.com