pareshāñ thā magar aisā nahīñ thā
ki mujh meñ koī tujh jaisā nahīñ thā
tabāh hone lagī har vaqt vo bhī
akelā maiñ hī dīvāna nahīñ thā
jafā ġham hijr ḳhvāhish yaad bāteñ
agar dekho to us meñ kyā nahīñ thā
ġhazab jalva-numā thā vasl us kā
abhī tak sochtā huuñ thā nahīñ thā
tumhāre ishq ke hāthoñ se marne
hameñ aanā paḌā aanā nahīñ thā
vahīñ se jism us kā kāñptā thā
jahāñ par maiñ use chhūtā nahīñ thā
mohabbat thī na thī ye baat chhoḌo
jo tum ne kah diyā kahnā nahīñ thā