raushnī sī kabhī kabhī dil meñ
manzil-e-be-nishāñ se aatī hai
lauT kar nuur kī kiran jaise
safar-e-lā-makāñ se aatī hai
nau-e-insāñ hai gosh-bar-āvāz
kyā ḳhabar kis jahāñ se aatī hai
apnī fariyād bāzgasht na ho
ik sadā āsmāñ se aatī hai
taḳhta-e-dār hai ki taḳhta-e-gul
bū-e-ḳhūñ gulistāñ se aatī hai
dil se aatī hai baat lab pe 'hafīz'
baat dil meñ kahāñ se aatī hai