har qadam par ham samajhte the ki manzil aa ga.ī
har qadam par ik na.ī darpesh mushkil aa ga.ī
yā ḳhalā par hukmarāñ yā ḳhaak ke andar nihāñ
zindagī DaT kar anāsir ke muqābil aa ga.ī
baḌh rahā hai dam-ba-dam sub.h-e-haqīqat kā yaqīñ
har nafas par ye gumāñ hotā hai manzil aa ga.ī
TūTte jaate haiñ rishte joḌtā jaatā huuñ maiñ
ek mushkil kam huī aur ek mushkil aa ga.ī
hāl-e-dil hai koī ḳhvāb-āvar fasāna to nahīñ
niiñd abhī se tum ko ai yārān-e-mahfil aa ga.ī