Hafeez Hoshiarpuri

gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
ġham-e-āfāq hai rusvā ġham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagī ham pe suḳhan-var ban ke
vo nahīñ maut sahī maut nahīñ niiñd sahī
koī aa jaa.e shab-e-ġham kā muqaddar ban ke
rāhbar tum ko banāyā hameñ mālūm na thā
rāh-rau raah bhaTak jaate haiñ rahbar ban ke
is ziyāñ-ḳhāne meñ ik qatre pe kyā kyā guzrī
kabhī aañsū kabhī shabnam kabhī gauhar ban ke
maut kī niiñd ke mātoñ pe na kyuuñ rashk aa.e
jāgnā hai unheñ hañgāma-e-mahshar ban ke
yaad phir aa ga.iiñ bhūlī huī bāteñ kyā kyā
phir mulāqāt huī aise muqaddar ban ke
aah ye uqda-e-ġham bazm-e-tarab meñ bhī 'hafīz'
bār-hā aañkh chhalak jaatī hai sāġhar ban ke
Top Urdushayar.com