Hafeez Hoshiarpuri

lafz abhi ijad honge har zarurat ke liye

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
lafz abhī ījād hoñge har zarūrat ke liye
sharh-e-rāhat ke liye ġham kī sarāhat ke liye
ab mirā chup-chāp rahnā amr-e-majbūrī sahī
maiñ ne kholī hī zabāñ kab thī shikāyat ke liye
mere chashm-o-gosh-o-lab se pūchh lo sab kuchh yahīñ
mujh ko mere sāmne laao shahādat ke liye
saḳht-koshī saḳht-jānī kī taraf laa.ī mujhe
mujh ko ye fursat ġhanīmat hai alālat ke liye
oxigen se shabistān-e-anāsir tābnāk
muztarib har zī-nafas us kī rifāqat ke liye
mar ga.e kuchh log jiine kā mudāvā soch kar
aur kuchh jiite rahe jiine kī aadat ke liye
aah marg-e-ādmī par aadmī ro.e bahut
koī bhī royā na marg-e-ādamiyat ke liye
koī mauqa zindagī kā āḳhirī mauqa nahīñ
is qadar tājīl kyoñ raf-e-kudūrat ke liye
istaqāmat ai mire dair-āshnā-e-ġham-gusār
ek aañsū hai bahut husn-e-nadāmat ke liye
koī 'nāsir' kī ġhazal koī zafar kī mai-tarañg
chāhiye kuchh to mirī shām-e-ayādat ke liye
gulshan-ābād-e-jahāñ meñ sūrat-e-shabnam 'hafīz'
ham agar ro.e bhī to rone kī fursat ke liye
Top Urdushayar.com