Hafeez Hoshiarpuri

kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
kuchh is tarah se nazar se guzar gayā koī
ki dil ko ġham kā sazā-vār kar gayā koī
dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh huā hī nahīñ
ḳhud apne husn se yuuñ be-ḳhabar gayā koī
vo ek jalva-e-sad-rang ik hujūm-e-bahār
na jaane kaun thā jaane kidhar gayā koī
nazar ki tishna-e-dīdār thī rahī mahrūm
nazar uThā.ī to dil meñ utar gayā koī
nigāh-e-shauq kī mahrūmiyoñ se nā-vāqif
nigāh-e-shauq pe ilzām dhar gayā koī
ab un ke husn meñ husn-e-nazar bhī shāmil hai
kuchh aur merī nazar se sañvar gayā koī
kisī ke paañv kī aahaT ki dil kī dhaḌkan thī
hazār baar uThā sū-e-dar gayā koī
nasīb-e-ahl-e-vafā ye sukūn-e-dil to na thā
zarūr nāla-e-dil be-asar gayā koī
uThā phir aaj mire dil meñ rashk kā tūfāñ
phir un kī raah se bā-chashm-e-tar gayā koī
ye kah ke yaad kareñge 'hafīz' dost mujhe
vafā kī rasm ko pā.inda kar gayā koī
Top Urdushayar.com