phir se ārā.ish-e-hastī ke jo sāmāñ hoñge
tere jalvoñ hī se ābād shabistāñ hoñge
ishq kī manzil-e-avval pe Thaharne vaalo
is se aage bhī ka.ī dasht-o-bayābāñ hoñge
tū jahāñ jā.egī ġhārat-gar-e-hastī ban kar
ham bhī ab saath tire gardish-e-daurāñ hoñge
kis qadar saḳht hai ye tark-o-talab kī manzil
ab kabhī un se mile bhī to pashemāñ hoñge
tere jalvoñ se jo mahrūm rahe haiñ ab tak
vahī āḳhir tire jalvoñ ke nigahbāñ hoñge
ab to majbūr haiñ par hashr kā din aane de
tujh se insāf-talab rū-e-gurezāñ hoñge
jab kabhī ham ne kiyā ishq pashemān hue
zindagī hai to abhī aur pashemāñ hoñge
koī bhī ġham ho ġham-e-dil ki ġham-e-dahr 'hafīz'
ham ba-har-hāl ba-har-rañg ġhazal-ḳhvāñ hoñge