Hafeez Hoshiarpuri

ab koi aarzu nahin zauq-e-payam ke siwa

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
ab koī aarzū nahīñ zauq-e-payām ke sivā
ab koī justujū nahīñ shauq-e-salām ke sivā
koī sharīk-e-ġham nahīñ ab terī yaad ke sivā
koī anīs-e-dil nahīñ ab tere naam ke sivā
kāhish-e-ārzū sahī hāsil-e-zindagī magar
hāsil-e-ārzū hai kyā soz-e-mudām ke sivā
aah koī na kar sakā chāra-e-talḳhī-e-firāq
nāla-e-sub.h ke baġhair giriya-e-shām ke sivā
terī nigāh-e-mast se mujh pe ye raaz khul gayā
aur bhī gardisheñ haiñ kuchh gardish-e-jām ke sivā
rañg-e-bahār par na phuul bū-e-chaman se darguzar
ye bhī haiñ ḳhushnumā fareb-e-dāna-o-dām ke sivā
mar ke hayāt-e-jāvidāñ ishq ko mil ga.ī 'hafīz'
jī ke hosh ko kyā milā marg-e-davām ke sivā
Top Urdushayar.com