Hafeez Hoshiarpuri

aaj unhen kuchh is tarah ji khol kar dekha kiye

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
aaj unheñ kuchh is tarah jī khol kar dekhā kiye
ek hī lamhe meñ jaise umr-bhar dekhā kiye
dil agar betāb hai dil kā muqaddar hai yahī
jis qadar thī ham ko taufīq-e-nazar dekhā kiye
ḳhud-faroshāna adā thī merī sūrat dekhnā
apne hī jalve ba-andāz-e-digar dekhā kiye
nā-shanās-e-ġham faqat dād-e-hunar dete rahe
ham matā-e-ġham ko rusva-e-hunar dekhā kiye
dekhne kā ab ye aalam hai koī ho yā na ho
ham jidhar dekhā kiye pahroñ udhar dekhā kiye
husn ko dekhā hai maiñ ne husn kī ḳhātir 'hafīz'
varna sab apnā hī meyār-e-nazar dekhā kiye
Top Urdushayar.com