na pūchh kyuuñ mirī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
jo tere dil meñ hai us baat par nahīñ aa.e
vafā-e-ahd hai ye pā-shikastagī to nahīñ
Thahar gayā ki mire ham-safar nahīñ aa.e
na chheḌ un ko ḳhudā ke liye ki ahl-e-vafā
bhaTak ga.e haiñ to phir raah par nahīñ aa.e
abhī abhī vo ga.e haiñ magar ye aalam hai
bahut dinoñ se vo jaise nazar nahīñ aa.e
kahīñ ye tark-e-mohabbat kī ibtidā to nahīñ
vo mujh ko yaad kabhī is qadar nahīñ aa.e
ajiib manzil-e-dilkash adam kī manzil hai
musāfirān-e-adam lauT kar nahīñ aa.e
hafīz kab unheñ dekhā nahīñ ba-rañg-e-digar
'hafīz' kab vo ba-rañg-e-digar nahīñ aa.e