nargis pe to ilzām lagā be-basarī kā
arbāb-e-gulistāñ pe nahīñ kam-nazarī kā
taufīq-e-rifāqat nahīñ un ko sar-e-manzil
raste meñ jinheñ paas rahā ham-safarī kā
ab ḳhānqah o madrasa o mai-kada haiñ ek
ik silsila hai qāfila-e-be-ḳhabarī kā
har naqsh hai ā.īna-e-nairañg-e-tamāshā
duniyā hai ki hāsil mirī hairāñ-nazarī kā
ab farsh se tā-arsh zabūñ-hāl hai fitrat
ik ma.arka dar-pesh hai azm-e-basharī kā
kab miltī hai ye daulat-e-bedār kisī ko
aur maiñ huuñ ki ronā hai isī dīda-varī kā
be-vāsta-e-ishq bhī rañg-e-ruḳh-e-parvez
unvān hai farhād kī ḳhūnīñ-jigarī kā
āḳhir tire dar pe mujhe le aa.ī mohabbat
dekhā na gayā haal mirī dar-badarī kā
dil meñ ho faqat tum hī tum āñkhoñ pe na jaao
āñkhoñ ko to hai rog pareshāñ-nazarī kā
be-pairvī-e-'mīr' 'hafīz' apnī ravish hai
ham par koī ilzām nahīñ kam-hunarī kā