Hafeez Hoshiarpuri

kahan kahan na tasawwur ne dam phailae

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
kahāñ kahāñ na tasavvur ne daam phailā.e
hudūd-e-shām-o-sahr se nikal ke dekh aa.e
nahīñ payām rah-e-nāma-o-payām tū hai
abhī sabā se kaho un ke dil ko bahlā.e
ġhurūr-e-jādā-shanāsī bajā sahī lekin
surāġh-e-manzil-e-maqsūd bhī koī paa.e
ḳhudā vo din na dikhā.e ki rāhbar ye kahe
chale the jaane kahāñ se kahāñ nikal aa.e
guzar gayā koī darmāñda-rāh ye kahtā
ab is fazā meñ koī qāfile na Thahrā.e
na jaane un ke muqaddar meñ kyuuñ hai tīra-shabī
vo ham-navā jo sahar ko qarīb-tar laa.e
koī fareb-e-nazar hai ki tābnāk fazā
kise ḳhabar ki yahāñ kitne chāñd gahnā.e
ġham-e-zamāna tirī zulmateñ hī kyā kam thiiñ
ki baḌh chale haiñ ab un gesuoñ ke bhī saa.e
bahut buland hai is se mirā maqām-e-ġhazal
agarche maiñ ne mohabbat ke giit bhī gaa.e
'hafīz' apnā muqaddar 'hafīz' apnā nasīb
gire the phuul magar ham ne zaḳhm hī khaa.e
Top Urdushayar.com