Hafeez Hoshiarpuri

aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum

Hafeez Hoshiarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1912-1973
aisī bhī kyā jaldī pyāre jaane mileñ phir yā na mileñ ham
kaun kahegā phir ye fasāna baiTh bhī jaao sun lo koī dam
vasl kī shīrīnī meñ pinhāñ hijr kī talḳhī bhī hai kam kam
tum se milne kī bhī ḳhushī hai tum se judā hone kā bhī ġham
husn-o-ishq judā hote haiñ jaane kyā tūfān uThegā
husn kī āñkheñ bhī haiñ pur-nam ishq kī āñkheñ bhī haiñ pur-nam
merī vafā to nādānī thī tum ne magar ye kyā Thānī thī
kaash na karte mujh se mohabbat kaash na hotā dil kā ye aalam
parvāne kī ḳhaak pareshāñ sham.a kī lau bhī larzāñ larzāñ
mahfil kī mahfil hai vīrāñ kaun kare ab kis kā mātam
kuchh bhī ho par in āñkhoñ ne akasr ye aalam bhī dekhā
ishq kī duniyā nāz-e-sarāpā husn kī duniyā ijz-e-mujassam
shahd-shikan hoñToñ kī larzish ishrat baaqī kā gahvāra
dā.era-e-imkān-e-tamannā narm lachaktī bāñhoñ ke ḳham
apne apne dil ke hāthoñ donoñ hī barbād hue haiñ
maiñ huuñ aur vafā kā ronā vo haiñ aur jafā kā mātam
nākāmī sī nākāmī hai mahrūmī sī mahrūmī hai
dil kā manānā sa.ī-e-musalsal un ko bhulānā koshish-e-paiham
ahd-e-vafā hai aur bhī mohkam terī judā.ī ke maiñ qurbāñ
terī judā.ī ke maiñ qurbāñ ahd-e-vafā hai aur bhī mohkam
Top Urdushayar.com