Divya Jain

le ke parcham mere daman ka khaDe hain sare

Divya Jain

Bina, Madhya Pradesh, India

1969
le ke parcham mire dāman kā khaḌe haiñ saare
aa ke phir jism pe patthar ye paḌe haiñ saare
dafn karne kī hai insāñ ko zarūrat ab kyā
sharm se ḳhud meñ hī ḳhud se to gaḌe haiñ saare
ziist kī raah ko ab apnī banānā tū misāl
haiñ pashemān jo manzil pe khaḌe haiñ saare
kitnī parvāz bharo apnā na āġhāz tajo
par bikhar ke to zamīñ par hī paḌe haiñ saare
badlā hai saarā jahāñ badlī na qaum-e-āshiq
in ko samjhā.iye kyā chikne ghaḌe haiñ saare
umr to saarī gañvā.ī ho na paa.e insāñ
par ḳhudā banñe ko phir bhī to aḌe haiñ saare
ḳhud ko kar ḳhatm hī karte haiñ vo āġhāz nayā
patte vo zard jo shāḳhoñ se jhaḌe haiñ saare
Top Urdushayar.com