Akram Jazib

apne alfaz-o-maani se nikal aaya hai

Akram Jazib

Mandi Bahauddin, Punjab, Pakistan

1972
apne alfāz-o-ma.ānī se nikal aayā hai
vo kahānī kī ravānī se nikal aayā hai
khīñch laa.ī hai hameñ chāñdnī shab meñ ḳhushbū
saañp bhī raat kī raanī se nikal aayā hai
ḳhud ko rū-posh kiyā kitne hī kirdāroñ meñ
phir bhī fankār kahānī se nikal aayā hai
jaag uTThī hai taḌap duur chale jaane se
rāsta naql-e-makānī se nikal aayā hai
phuuT bahne lage Thokar se phaphole dil ke
dard ehsās ke paanī se nikal aayā hai
tajarbe bāñdh ke gaThḌī meñ rakhe kāñdhoñ par
ik buḌhāpā bhī javānī se nikal aayā hai
hikmateñ fikr-o-tadabbur meñ rakhī haiñ 'jāzib'
falsafa sho.ala-bayānī se nikal aayā hai
Top Urdushayar.com