Zeb Usmania

KHak par hi mere aansu hain na daman mein kahin

Zeb Usmania

Ludhiana, Punjab, India

1913
ḳhaak par hī mire aañsū haiñ na dāman meñ kahīñ
jo tirī raah meñ khoyā gayā paayā na gayā
sabab-e-ḳhanda-e-gul gul ko nahīñ ḳhud ma.alūm
is tarah koī bhī dīvāna banāyā na gayā
muḳhtalif naġhme se hai qalb-e-muġhannī kā raaz
jo lab-e-sāz pe bhī bazm meñ laayā na gayā
rakh diyā ḳhalq ne naam us kā qayāmat ai 'zeb'
koī fitna jo zamāne se uThāyā na gayā
Top Urdushayar.com