Akram Jazib

hum shoala-ba-dast itni mohabbat se jale hain

Akram Jazib

Mandi Bahauddin, Punjab, Pakistan

1972
ham sho.ala-ba-dast itnī mohabbat se jale haiñ
jo dekhne vaale the vo hasrat se jale haiñ
ḳhushbū se jale haiñ kabhī sūrat se jale haiñ
bad-ḳhvāh hasad karne kī aadat se jale haiñ
jal jaa.e jahāñ ḳhuun nahīñ khaultā un kā
ham barf-zada logoñ kī fitrat se jale haiñ
kab sho.alagī lau dene se aa.ī hai kabhī baaz
ye husn-e-nazar vaale ināyat se jale haiñ
ik aag ke dariyā ko batāyā hai chaman-zār
ham Dūbne vāloñ kī ri.āyat se jale haiñ
kirdār pe aane hī nahīñ dī hai kabhī aañch
kuchh log mohabbat meñ mahārat se jale haiñ
is aag meñ rāhat ke bhī sāmān haiñ 'jāzib'
samjhā.eñ bhī kaise ki zarūrat se jale haiñ
Top Urdushayar.com