ḳhud ko duniyā meñ jo rāzī-ba-razā kahte haiñ
apnī hastī se vo ik baat sivā kahte haiñ
maut aatī hai to ik farz adā hotā hai
in ko dhokā hai qazā ko jo qazā kahte haiñ
dard dil ko tirī yak-gūna murā.āt se hai
nukta-chīñ is ko bhī andāz-e-jafā kahte haiñ
haram o dair hue tark-e-amal se rusvā
dekhiye ahl-e-aqīdat ise kyā kahte haiñ
sūrateñ haiñ ye do ehsās-e-darūñ kī ai 'zeb'
hashr meñ jin ko sazā aur jazā kahte haiñ