mujh se baḌh kar hai kahīñ un kā maqām ai saaqī
mast rahte haiñ jo be-bāda-o-jām ai saaqī
qatre qatre ko phireñ tere subū-kash lāchār
hai ye kis ke liye ġhairat kā maqām ai saaqī
marhamat se tirī ho jaa.eñ na mai-kash bad-dil
sañg-dil hai tirī mahfil kā nizām ai saaqī
'zeb' bhī arz-e-haqīqat meñ hai aksar mohtāt
ahl-e-mahfil meñ ye ehsās hai aam ai saaqī